Saturday, September 12, 2009

Kuch Khuwab

Kuch khuab hain jin ko likhna hy
Taabeer ki sorat deni hy
Kuch loog hain ujry dil waly
Jinhain apni muhabbat deni hy
Kuch phool hain jin ko chunna hy
Or haar ki soorat deni hy
Kuch apni neendyn baqi hain
Jinhain bantna hy kuch logon main
Unko bhi to rahat deni hy
AEY UMER-E-RAWANAhista chal
Abhi khasa QARAZ chukana hy...~

bachpan k dukh

Bachpan Kay Dukh Bhi Kitnay Achay Hote Thay
Tab to Sirf Khilonay Toota Kartay Thay
Wo Khushiyan Bhi Jane Kesi Thin
Titli K Par Noch K Uchla Kerte They
Paon Maar K Khud Barish K Pani Mein
Apni Nao Aap Daboya Kerte They
Chotey They To Makr-o-Faraib Bhi Chotey They
Dana Daal K Chiriya Pakra KerteThey
Khushbo Kay Urtay Hi Kyun Murjhaya Phool
Hum Is Baat Pay Aksar Soacha Kartay Thay
Apne Jal Jane Ka Ehsas Bhi Na Tha
Jaltey Hueye Shoulon ko Chera Kerte They
Ab To Aansoo Bhi Ruswa Kerte Hain
Bachpan Main Jee Bhar Kay Roya Kartay Thay

Tuesday, September 1, 2009

AGAR MAIN DOOR HOJAO

AGR MEY DOR HO JAO TO PALKON KO JHUKA DENA,
AGR ANSO GIRA KOI SAMAJH JANA K WOH HON MEY.
HATHELI SAMNY RAKHNA K SAB ANSO GIRAYN US MEY,
JO RUKH JAYE PALKON PE SAMAJH JANA K WOH HON MEY.
JO CHALAY HAWA THANDI TO ANKHEEN BAND KR LENA,
JO JHONKA TEZ HO SAB SE SAMAJH JANA WOH HON MEY.
JO ZIADA YAAD AON TO TUM ROLANA JEE BHR K
,AGR HICHKI KOI AY SAMAJH JANA WOH HON mey