Saturday, September 12, 2009

bachpan k dukh

Bachpan Kay Dukh Bhi Kitnay Achay Hote Thay
Tab to Sirf Khilonay Toota Kartay Thay
Wo Khushiyan Bhi Jane Kesi Thin
Titli K Par Noch K Uchla Kerte They
Paon Maar K Khud Barish K Pani Mein
Apni Nao Aap Daboya Kerte They
Chotey They To Makr-o-Faraib Bhi Chotey They
Dana Daal K Chiriya Pakra KerteThey
Khushbo Kay Urtay Hi Kyun Murjhaya Phool
Hum Is Baat Pay Aksar Soacha Kartay Thay
Apne Jal Jane Ka Ehsas Bhi Na Tha
Jaltey Hueye Shoulon ko Chera Kerte They
Ab To Aansoo Bhi Ruswa Kerte Hain
Bachpan Main Jee Bhar Kay Roya Kartay Thay

No comments:

Post a Comment